Dil Ki Dhadkan Dhadka Gaya Koi,
Mere Khwabon Ko Mehka Gaya Koi,
Hum Anjane Raho Par Chal Rahe The,
Achanak Hi Raasta Bata Gaya Koi!
Abhi To Baaj Ki Asli Udaan Baaki
Hai Abhi To Aapka Imtihan Baaki Hai
Abhi Tak To Aapne Zamin Dekhi Hai
Aabhi To Pura Aasmaan Baaki Hai
Yaad Aati Hain Mogre Ki Kyariyan,
Chedna Tera, Teri Hasti Sakhiyan;
Kaise Bhulaoon Woh Khel Tere Sang,
Marham Tere Haathon Ka,
Woh Ladai Ke Rang!
Dil Ke Afsane Hote Hai Hazar,
Kahin Romeo Ki Kabr,
Kahin Ghalib Ki Mazar;
Lakh Juda Kar Lo Ishq Karne Valon Ko,
Naye Rang Me Lautenge Deewane Har Bar.
Nazar Se Nazar Milakar Baat Banata Kyu Hai,
Gar Mujhse Khafa Hai to Chupata Kyu Hai.
Intezaar Ka Pal Bitana Mushkil Hai Bite
Hue Hadse Bhulna Mushkil Hai Jo Ek Bar
Bas Jaye Dil Me Dhadkan Banke Unhe
Bhulne Ki Koshish Karna Mushkil Hai.
Saath Agar Tera Hame Mil Gaya Hota,
Parwa Zamane Ki Hum Hargiz Na Karte.
Pehle Jo Jaan Jate Aanjame-Mohabbat,
Hum Fir Mohabbat Na Karte.
Hasti Hui Ankhon Me Bhi Sailaab Hote Hai,
Kismat Karti Hai Kayin Sawal,
Dhoondho! Sawalon Me Bhi Jawab Hote Hain.
Friday, July 25, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment